Arz kiya hai,
Door se dekha to santra tha, pass jake dekha to santra tha,
cheel ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi santra tha.
Wah kya santra tha !
Maine poocha chand se... Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin.....
Chand bola.... 316 entries found !
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhna mana hai.
Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye...
Macchar ne jo kata... dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni... dil be-sukoon tha.
Pakada to chod diya yeh soch kar ki....
saley ki ragon main apna hi khoon tha!
Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena...
Jo iska matlab samajh jaaye to please mujhe bhi bata dena.....
No comments:
Post a Comment